Search This Blog

Saturday, 29 December 2012

Kisska Intezaar hai ????????


Wo chal basi, wo marr gyi, bass yehi pukaar hai
Ab utho, ab chal bhi do, kisska intezaar hai ??
Haivaniyat ke naach se, ye desh sharm-saar hai
Sirf usski hi nahi, poore desh ki ye haar hai.

Jiss taraf bhi dekhiye dhool ka gubaar hai
Aankh se jo beh rha, dil ka wo ubaal hai
Seene mein sabke jal rhi, ye kaun si mashaal hai ??
Ab utho, ab chal bhi do, kisska intezaar hai ??

“CHALTA HAI” jo kehte ho, sab wohi kamaal hai
Sab usska hi nateeja hai, to kyo ye aankh laal hai ??
Neta kahein tarakki, mujhko lagta ye zawaal hai
Ab utho, ab chal bhi do, kisska intezaar hai ??

Apraadhiyo ke saamne kanoon kyo nidhaal hai ??
Sach mein bujh gyi kya Insaaf ki mashaal hai..??
Kapoot desh chala rahe, so rahe kya LAAL hain ??
Ab utho, ab chal bhi do, kisska intezaar hai ??

Saturday, 7 May 2011

aawaargi.....by JAVED AKHTAR

phirte hain kabse dar-ba-dar, ab iss nagar ab uss nagar
ek doosre ke humsafar, main aur meri aawaargi !!

hum bhi kabhi aabaad the, aise kahan barbaad the ??
befikr the aazaad the, masroor the dilshaad the..
vo chaal aisi chal gaya, hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jalaa ke apna ghar, man aur meri aawargi !!

vo maah-e-vash, vo maah-e-roo, vo maah-e kaamil hu-ba-hu
thi jiski baatein ku-ba-ku, usse ajab thi guftaguu
phir yuun hua vo kho gayi, aur mujhko zid si ho gayi
laayenge ussko dhoondh kar, main aur meri aawargi !!

ye dil hi tha jo seh gaya, vo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kya reh gaya, ashkon ka dariya beh gaya 
jab kehkar vo dilbar gaya, tere liye main mar gaya
rote hain ussko raat bhar, main aur meri aawargi !!

ab gum uthaayein kiss liye ? ye dil jalaayein kiss liye ?
aansu bahyein kiss liye ? yuun jaan ganvaaye kiss liye ?
peshaa na ho jisska sitam, dhoondenge ab aisa sanam
honge kahin to kaargar, main aur meri aawargi !!

aasaar hain sab khot ke, imkaan hain sab chot ke
ghar band hain sab kot ke, ab khatm hain sab totke
quismat ke sab ye khel hain, andher hi andher hai
aise hue hain be-asar, main aur meri aawaargi !!

jab hum dum-o-hum raaz tha, tab aur hi andaaz tha
ab soz hai, tab saaz tha, ab sharm hai tab naaz tha
ab mujhse ho to ho bhi kya ? hai saath vo to vo bhi kya ?
ek behunar, ek besabar, main aur meri aawargi.....!!

Friday, 6 May 2011

shiddat..........

main hargiz apni haar maan ne se inkaar karta hu
meri bhi ye zidd hai main tujhse pyaar karta hu !!


mujhko mere kiye ki saza ye duniya kya degi ??
main khud apni saza muqarrar har baar karta hu !!


meri mohabbat ki inteha meri aadat se saabit hai
main jab jab tera naam lu, dua har baar karta hu !!


dhuaan bana ke udaata hu bahut hadd tak to yaadon ko
bahut shiddat se aaye yaad, to kaaro-baar karta hu !!


mana ki teri yaadon mein khoya khoya rehta hu
main HAMMAD hu KHUDA ki sana har raat karta hu..!!

Saturday, 30 April 2011

jazbaat.....

tanhai meri door kar de , tu yaad ban ke aa kabhi
iss gareeb ke hothon par , fariyaad banke aa kabhi


barson se jiss zameen par ek boond nahi tapki hai
uss dil ki banjar raahon mein barsaat banke aa kabhi


muddat se tere intezaar mein dariyaa ke kinaare baitha hu
mujhko sath baha le ja , tu sailaab banke aa kabhi


tere gum mein ro ro kar ye aankhein benoor huin
in ankho ko purnoor kar , tu khwaab banke aa kabhi


tu bhi apne lafzon mein gam-e-dil ko utaar de
tu bhi gazal ke hothon par HAMMAD ban ke aa kabhi....

Tuesday, 26 April 2011

inspired by GHALIB SAAB......

dil ko behlaane ka ye bahana to purana hai ;
nazar abhi intezar mein hai , ki unko abhi aana hai.


udhaar li hain saansein ki baaki abhi fasaana hai ;
ae shama jala de aakar intezaar mein parwaana hai.


tere zulm ke sholon ko aur abhi dehkana hai;
apne gum ki bagiya ko aur abhi mehkana hai.


tu jaane na shayad ye baat !! jaane saara zamana hai !!
ISHQ HAI KYA ?? EK AAG KA DARIYA, AUR SABKO DOOB KE JAANA HAI !!


pyaar , mohabbat , wafa-o-jafa, ye sab to kitaabi baatein hain
HAMMAD ko ye sab kya maloom ?? vo to bass deewana hai !!

Sunday, 24 April 2011

awsome lines by an anonymous shayar


Lahu se dil k kaghaz pr koi tehreer hoti he
To ahl-e-dil samajhtey hain yahi taqdeer hoti he

Tujhey khwabon me aksar log mjhse cheen lete hain
Suna he sare khawbon ki ulat taabir hoti he

Yahi chahat kisi ko taaj ki surat nazar aaye
Yahi chahat kisi k paon ki zanjeer hoti he

Wafa ki jung talwaron se jeeti ja nhi skti
Ki Sachai or mohabbat se wafa ki jeet hoti he

Suno ghazlen be- sabab likhi nahi jati
K shaayer k tassavur me koi tasveer hoti he…!

Saturday, 23 April 2011

kabhi sawalon ki tarah

yoonhi bikhri hui purani kitabo ki tarah...
husn ki chadar mein lipte unn shababon ki tarah...
tu kyon aa hi jaata hai meri zindagi mein ??
kabhi sawalon ki tarah kabhi jawabon ki tarah !!


kitaabon ke beech rakhe kuch gulaabon ki tarah...
bekhudi , masti mein doobi un sharaabon ki tarah...
parvaane ki aankh mein shama ke khawaabon ki tarah...
mohabbat ki shabnam mein bheegi un yaadon ki tarah...
tu kyon aa hi jaata hai meri zindagi mein ??
kabhi sawalon ki tarah kabhi jawabon ki tarah !!


kisi ki furqat mein jalte kuch chiraagon ki tarah...
kisi shayar ke zehen mein bhatakte khayalon ki tarah...
kaanch ki maanind bikhre unn tere waadon ki tarah...
HAMMAD ki qalam se nikle belafz jazbaaton ki tarah...
tu kyon aa hi jaata hai meri zindagi mein ??
kabhi sawalon ki tarah kabhi jawabon ki tarah !!