phirte hain kabse dar-ba-dar, ab iss nagar ab uss nagar
ek doosre ke humsafar, main aur meri aawaargi !!
hum bhi kabhi aabaad the, aise kahan barbaad the ??
befikr the aazaad the, masroor the dilshaad the..
vo chaal aisi chal gaya, hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jalaa ke apna ghar, man aur meri aawargi !!
vo maah-e-vash, vo maah-e-roo, vo maah-e kaamil hu-ba-hu
thi jiski baatein ku-ba-ku, usse ajab thi guftaguu
phir yuun hua vo kho gayi, aur mujhko zid si ho gayi
laayenge ussko dhoondh kar, main aur meri aawargi !!
ye dil hi tha jo seh gaya, vo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kya reh gaya, ashkon ka dariya beh gaya
jab kehkar vo dilbar gaya, tere liye main mar gaya
rote hain ussko raat bhar, main aur meri aawargi !!
ab gum uthaayein kiss liye ? ye dil jalaayein kiss liye ?
aansu bahyein kiss liye ? yuun jaan ganvaaye kiss liye ?
peshaa na ho jisska sitam, dhoondenge ab aisa sanam
honge kahin to kaargar, main aur meri aawargi !!
aasaar hain sab khot ke, imkaan hain sab chot ke
ghar band hain sab kot ke, ab khatm hain sab totke
quismat ke sab ye khel hain, andher hi andher hai
aise hue hain be-asar, main aur meri aawaargi !!
jab hum dum-o-hum raaz tha, tab aur hi andaaz tha
ab soz hai, tab saaz tha, ab sharm hai tab naaz tha
ab mujhse ho to ho bhi kya ? hai saath vo to vo bhi kya ?
ek behunar, ek besabar, main aur meri aawargi.....!!