Search This Blog

Saturday 23 April 2011

ye dharti mita du.....

ye dharti mita doon ki ambar mita doon ?
tujhe kaise main apne dil se hata doon ?


aaja tujhe apne aansu dikha doon,
main ji bhar ke roun tujhe bhi rula doon.


apni mohabbat ki khud ko saza doon,
tu kar bewafai main tujhko dua doon.



main khud ko zeher doon ya tujhko dawa doon ?
ye chingaari bujhaun ya issko hawa doon ?


bata teri tasveer ko main kya doon ?
jala ke raakh kar du ya issko saja doon.


teri jafa ko HAMMAD , main aisi wafa doon
tu patthar ho to tujhko main devi bana doon
tu patthar ho to tujhko main devi bana doon .......

No comments:

Post a Comment