Search This Blog

Thursday 21 April 2011

ASAR

mana ki main behaal hu usse bichchad jaane ke baad ;
roya to wo bhi hoga mjhse door jaane ke baad .


mere dil ki dharti to muddaton se hai banjar ;
vo mausam-e-bahaar na lauta ek baar jaane ke baad .


subah tak main phir uss sailaab ko na rok saka ;
jo ashk behne shuru hue uski yaad aane ke baad .


maikhaane mein har taraf bass wo hi wo nazar aaye ;
bass ek paimana gale se utar jaane ke baad .


main aaj tak ussi mod pe baitha bass yehi sochta hu ;
ki vo kyon door ho gaye itna kareeb aane ke baad ?


HAMMAD tu apne sher me aisa khoon-e-jigar bhar de .
ki duniya tujhko yaad kare tere chale jaane ke baad .