Search This Blog

Tuesday 26 April 2011

inspired by GHALIB SAAB......

dil ko behlaane ka ye bahana to purana hai ;
nazar abhi intezar mein hai , ki unko abhi aana hai.


udhaar li hain saansein ki baaki abhi fasaana hai ;
ae shama jala de aakar intezaar mein parwaana hai.


tere zulm ke sholon ko aur abhi dehkana hai;
apne gum ki bagiya ko aur abhi mehkana hai.


tu jaane na shayad ye baat !! jaane saara zamana hai !!
ISHQ HAI KYA ?? EK AAG KA DARIYA, AUR SABKO DOOB KE JAANA HAI !!


pyaar , mohabbat , wafa-o-jafa, ye sab to kitaabi baatein hain
HAMMAD ko ye sab kya maloom ?? vo to bass deewana hai !!

1 comment:

  1. vaada toh poora nibha dia, ab aur kya batana hai.
    kucch aur naghmei bhi likh de ghalib, itna kya bhaav khana hai :P

    ReplyDelete